Saavan barse tarse dil

सावन बरसे तरसे दिल्
Year
Language

सावन बरसे तरसे दिल क्‌यूं ना निकले घर से दिल
बरखा में भी दिल प्यासा है ये प्यार नहीं तो क्‌या है
देखो कैसा बेकरार है भरे बाज़ार में
यार एक यार के इंतज़ार में
सावन बरसे तरसे …

इक मुहब्बत का दीवाना ढूंढता सा फिरे
कोई चाहत का नज़राना दिलरुबा के लिए
छम छम चले पागल पवन आए मज़ा भीगें बलम
भीगें बलम फिसलें कदम बरखा बहार में
सावन बरसे तरसे …

इक हसीना इधर देखो कैसी बेचैन है
रास्ते पर लगे कैसे उसके दो नैन हैं
सच पूछिये तो मेरे यार दोनों के दिल बेइख्तियार
बेइख्तियार हैं पहली बार पहली बहार में
सावन बरसे तरसे …

sāvan barse tarse dil k‌yūṅ nā nikle ghar se dil
barkhā meṅ bhī dil pyāsā hai ye pyār nahīṅ to k‌yā hai
dekho kaisā bekrār hai bhare bāzār meṅ
yār ek yār ke iṅtazār meṅ
sāvan barse tarse …

ik muhabbat kā dīvānā ḍhūṅḍhtā sā phire
koī chāhat kā nazrānā dilrubā ke lie
chham chham chale pāgal pavan āe mazā bhīgeṅ balam
bhīgeṅ balam phisleṅ kadam barkhā bahār meṅ
sāvan barse tarse …

ik hasīnā idhar dekho kaisī bechain hai
rāste par lage kaise uske do nain haiṅ
sach pūchhiye to mere yār donoṅ ke dil beikhtiyār
beikhtiyār haiṅ pahlī bār pahlī bahār meṅ
sāvan barse tarse …