sāthiyā hā sāthiyā hā maddham-maddham terī ye gīlī hṇsī
sāthiyā hā sāthiyā hā sun ke ham ne sārī pī lī hṇsī
o ho o ho ho ho
hṇstī rahe tū hṇstī rahe hayā kī lālī khiltī rahe
zulf ke nīche gardan pe subah-o-śhām miltī rahe
sauṅdhī sī hṇsī terī khiltī rahe miltī rahe
pīlī dhūp pahan ke tum dekho bāg meṅ mat jānā
bhṇvre tum ko sab chheṛeṇge phūloṇ meṅ mat jānā
maddham-maddham hṇs de phir se
sonā-sonā phir se hṇs de
tāzā gire patte kī tarah sabz lawn par leṭe huye
sāt raṅg haiṅ bahāroṅ ke ek adā meṅ lapeṭe huye
sāvan bhādoṅ sāre tujh se
mausam mausam hṇste rahnā
maddham-maddham hṇste rahnā
kabhī nīle āsmāṇ pe chalo ghūmne chaleṅ ham
koī abr mil gayā to zamīṅ pe baras leṅ ham
teri bālī hil gaī hai kabhī śhab chamak uṭhī hai kabhī śhām khil gaī hai
ru ru ru ru ru ru ru
tere bāloṅ kī panāh meṅ ho ye siyāh rāt guzre
terī kālī-kālī āṇkheṅ koī ujlī bāt utre
terī ik hṇsīi ke badle merī ye zamīn le-le merā āsmān le-le
barf girī ho vādī meṅ
ūn meṅ lipṭī-simṭī huī
barf girī ho vādī meṅ aur hṇsī terī gūṇje
ūn meṅ lipṭī simṭī huī bāt kare dhuāṇ nikle
garam-garam ujlā dhuāṇ naram-naram ujlā dhuāṇ
%(varm and bright fume, soft and bright fume)