Saathee naa koee manil, diyaa hai naa koee mahphil

साथी ना कोई मंज़िल, दिया है ना कोई महफिल
Year
Language

साथी ना कोई मंज़िल, दिया है ना कोई महफील
चला मुझे लेके ऐ दिल अकेला कहाँ

हमदम कोई मिले कहीं, ऐसे नसीब ही नहीं
बेदर्द है ज़मीं, दूर आसमाँ

गलियाँ हैं अपने देस की, फिर भी है जैसे अजनबी
किस को कहे कोई, अपना यहाँ

पत्थर के आशना मिले, पत्थर के देवता मिले
शीशे का दिल लिये जाऊँ कहाँ

sāthī nā koī maṅzil, diyā hai nā koī mahphīl
chalā mujhe leke ai dil akelā kahāṇ

hamdam koī mile kahīṅ, aise nasīb hī nahīṅ
bedard hai zamīṅ, dūr āsmāṇ

galiyāṇ haiṅ apne des kī, phir bhī hai jaise ajanbī
kis ko kahe koī, apnā yahāṇ

patthar ke āśhnā mile, patthar ke devtā mile
śhīśhe kā dil liye jāūṇ kahāṇ