Saath jiyenge saath marenge ... naa jaa mere saathee naa jaa

साथ जियेंगे साथ मरेंगे ... ना जा मेरे साथी ना जा
Work
Year
Language

र: साथ जियेंगे साथ मरेंगे
ये वादा क्‌यूँ तोड़ दिया
ख़ुद तो तुम चल पड़े अकेले
हमें राह में छोड़ दिया

ना जा मेरे साथी ना जा -3

ऐसी एक आग जगेगी -2
दुनिया शमशान लगेगी
तारे अंगारे होंगे
धरती की रूह जलेगी
फूल का रंग उड़ेगा
अम्बर का चाँद छुपेगा
तेरे बिन जीवन साथी
जीवन का दीप बुझेगा

ना जा मेरे साथी ना जा -3

ऐसा तूफ़ान उठेगा -2
घन घन बादल गरजेगा
कड़ कड़ बिजली कड़केगी
सारा सन्सार जलेगा
ये दिल अब ज़हर पियेगा
तेरे बिन कौन जियेगा
टूटा जब जीवन धागा
कैसे कोई ज़ख़्म सियेगा

ना जा मेरे साथी ना जा -3

ra: sāth jiyeṅge sāth mareṅge
ye vādā k‌yūṇ toṛ diyā
khud to tum chal paṛe akele
hameṅ rāh meṅ chhoṛ diyā

nā jā mere sāthī nā jā -3

aisī ek āg jagegī -2
duniyā śhamśhān lagegī
tāre aṅgāre hoṅge
dhartī kī rūh jalegī
phūl kā raṅg uṛegā
ambar kā chāṇd chhupegā
tere bin jīvan sāthī
jīvan kā dīp bujhegā

nā jā mere sāthī nā jā -3

aisā tūfān uṭhegā -2
ghan ghan bādal garjegā
kaṛ kaṛ bijlī kaṛkegī
sārā sansār jalegā
ye dil ab zahar piyegā
tere bin kaun jiyegā
ṭūṭā jab jīvan dhāgā
kaise koī zakhm siyegā

nā jā mere sāthī nā jā -3