Saat rang men khel rahee hai

सात रंग में खेल रही है
Year
Language

सात रंग में खेल रही है दिलवालों की टोली रे
भीगे दामन चोली रे
अरे अपने ही रंग में रंग ले मुझको
याद रहेगी होली रे

लाल गुलाबी, नीले पीले, रंग हैं दुनियावालों के
प्यार के रंग में डूब गए दिल देखो हम मतवालों के
अरे उजला मुखड़ा देख के तेरा रंग उड़े हैं उजालों के

औंदा है इक बार साल विच फागुन दा महीना
नहा के रंग में निखर गई है आज हर इक हसीना
अरे इस मौसम में जो ना भीगे क्या है उसका जीना

sāt raṅg meṅ khel rahī hai dilvāloṅ kī ṭolī re
bhīge dāman cholī re
are apne hī raṅg meṅ raṅg le mujhko
yād rahegī holī re

lāl gulābī, nīle pīle, raṅg haiṅ duniyāvāloṅ ke
pyār ke raṅg meṅ ḍūb gae dil dekho ham matvāloṅ ke
are ujlā mukhaṛā dekh ke terā raṅg uṛe haiṅ ujāloṅ ke

auṅdā hai ik bār sāl vich phāgun dā mahīnā
nahā ke raṅg meṅ nikhar gaī hai āj har ik hasīnā
are is mausam meṅ jo nā bhīge kyā hai uskā jīnā