Saat rang ke sapnon men main kho gaee sajnaa

सात रंग के सपनों में मैं खो गई सजना
Year
Language

सात रंग के सपनों में मैं खो गई सजना
ओढ़ी चुनर तेरे प्यार की तेरी हो गई सजना
मैने तुझको पहनाया है सजनी गजरा चूड़ी कंगना
चाहें छूटे दुनिया मैने मांगी है दुआ
छूटे तेरा संग ना
सात रंग के सपनों …

बोले मेरा कजरा बोले मेरी बिंदिया
तेरी आँखों से पिया मैं चुराऊं निंदिया
तेरे जूड़े की कसम तेरे बालों की कसम
मैं दीवाना हूँ तेरा तेरे गालों की कसम
चैन से तेरी बाहों में मैं सो गई सजना
सात रंग के सपनों …

हाथों में मेहंदी और मन में पिया
लगे कहीं ना पिया बिन जिया
इन हवाओं ने कहा इन बहारों ने कहा
तू है मेरा बलमा इन नज़ारों ने कहा
तेरी यादों में रहूं तेरी आँखों में रहूं
मैं हूँ तेरी ज़िंदगी तेरी साँसों में रहूँ
लौट के ना आई तेरे घर में जो गई सजना
सात रंग के सपनों …

sāt raṅg ke sapnoṅ meṅ maiṅ kho gaī sajnā
oṛhī chunar tere pyār kī terī ho gaī sajnā
maine tujhko pahnāyā hai sajnī gajrā chūṛī kaṅgnā
chāheṅ chhūṭe duniyā maine māṅgī hai duā
chhūṭe terā saṅg nā
sāt raṅg ke sapnoṅ …

bole merā kajrā bole merī biṅdiyā
terī āṇkhoṅ se piyā maiṅ churāūṅ niṅdiyā
tere jūṛe kī kasam tere bāloṅ kī kasam
maiṅ dīvānā hūṇ terā tere gāloṅ kī kasam
chain se terī bāhoṅ meṅ maiṅ so gaī sajnā
sāt raṅg ke sapnoṅ …

hāthoṅ meṅ mehaṅdī aur man meṅ piyā
lage kahīṅ nā piyā bin jiyā
in havāoṅ ne kahā in bahāroṅ ne kahā
tū hai merā balmā in nazāroṅ ne kahā
terī yādoṅ meṅ rahūṅ terī āṇkhoṅ meṅ rahūṅ
maiṅ hūṇ terī ziṅdgī terī sāṇsoṅ meṅ rahūṇ
lauṭ ke nā āī tere ghar meṅ jo gaī sajnā
sāt raṅg ke sapnoṅ …