Saasoo jee toone meree kadar naa jaanee ... bahoo ko toone bahoo na samjhaa

सासू जी तूने मेरी कदर ना जानी ... बहू को तूने बहू न समझा
Year
Language

सासू जी तूने मेरी कदर ना जानी
बहू को तूने बहू न समझा समझा समझा नौकरानी
सासू जी तूने मेरी …

जब से तेरे घर में आई
इक दिन चैन से रह न पाई
मेरी कोई बात न मानी तूने की मनमानी
सासू जी तूने मेरी …

अरे गाली दी चाबुक बरसाया
चोरी का इल्ज़ाम लगाया
आज सुनाऊंगी सबको तेरे ज़ुल्मों की कहानी
सासू जी तूने मेरी …

नर्क से घर को स्वर्ग बनाया
सेवा की हर नाज़ उठाया
ओ जीत लिया दिल प्यार से सबका तुमसे रही बेगानी
सासू जी तूने मेरी …

sāsū jī tūne merī kadar nā jānī
bahū ko tūne bahū na samjhā samjhā samjhā naukrānī
sāsū jī tūne merī …

jab se tere ghar meṅ āī
ik din chain se rah na pāī
merī koī bāt na mānī tūne kī manmānī
sāsū jī tūne merī …

are gālī dī chābuk barsāyā
chorī kā ilzām lagāyā
āj sunāūṅgī sabko tere zulmoṅ kī kahānī
sāsū jī tūne merī …

nark se ghar ko svarg banāyā
sevā kī har nāz uṭhāyā
o jīt liyā dil pyār se sabkā tumse rahī begānī
sāsū jī tūne merī …