Saare shahar men hangaamaa hai ... jhanak jhanak‌

सारे शहर में हंगामा है ... झणक झणक्‌
Work
Year
Language

सारे शहर में हंगामा है हंगामा
दिलों में घर में हंगामा है हंगामा
है मेरा हंगामा हंगामा है मेरा

झणक झणक झणक झणक बाजे ये तेरी पायलिया
झणक झणक झणक झणक बाजे

मेरा अंग अंग मेरा रंग रंग सोने से भी सोणा
जो देख ले मुझे वो कहे तुझे पा के ना खोना
होंठों की आग कस्तूरी प्यास साँसों को महकाए
मेरा ख्याल उलझा सवाल रातों को बहकाए
झणक झणक …

महबूब मेरा मेरे बदन को आँखों से पिघलाए
है उसका रूप गरमी की धूप हो छू ले जल जाए
उसका नहीं है कोई जवाब उसका न कोई सानी
दिल ने मेरे तो चाहा उसी को दे दी उसको जवानी
झणक झणक …

sāre śhahar meṅ haṅgāmā hai haṅgāmā
diloṅ meṅ ghar meṅ haṅgāmā hai haṅgāmā
hai merā haṅgāmā haṅgāmā hai merā

jhaṇak jhaṇak jhaṇak jhaṇak bāje ye terī pāyliyā
jhaṇak jhaṇak jhaṇak jhaṇak bāje

merā aṅg aṅg merā raṅg raṅg sone se bhī soṇā
jo dekh le mujhe vo kahe tujhe pā ke nā khonā
hoṅṭhoṅ kī āg kastūrī pyās sāṇsoṅ ko mahkāe
merā khyāl uljhā savāl rātoṅ ko bahkāe
jhaṇak jhaṇak …

mahbūb merā mere badan ko āṇkhoṅ se pighlāe
hai uskā rūp garmī kī dhūp ho chhū le jal jāe
uskā nahīṅ hai koī javāb uskā na koī sānī
dil ne mere to chāhā usī ko de dī usko javānī
jhaṇak jhaṇak …