Saare shahar men ek haseen hai

सारे शहर में एक हसीं है
Year
Language

सारे शहर में एक हसीं है
और वो मैं हूँ और कोई नहीं
तू न इधर देख यार उधर देख
सारे शहर में …

प्यार करेगा मुझसे अगर तू याद करेगा सारी उमर तू
फिर भी किसी का नाम न लेगा ये तो मुझको यक़ीन है
सारे शहर में …

सबकी निगाहें मुझ पे झुकी हैं तेरी निगाहें मुझपे रुकी हैं
देख ज़रा ऐसी अदा ऐसी नज़र और कहाँ
मेरे सनम के पास न जाना मेरा सनम है मेरा दीवाना
मैं हूँ फ़लक़ और तू ज़मीन है
सारे शहर में …

sāre śhahar meṅ ek hasīṅ hai
aur vo maiṅ hūṇ aur koī nahīṅ
tū na idhar dekh yār udhar dekh
sāre śhahar meṅ …

pyār karegā mujhse agar tū yād karegā sārī umar tū
phir bhī kisī kā nām na legā ye to mujhko yaqīn hai
sāre śhahar meṅ …

sabkī nigāheṅ mujh pe jhukī haiṅ terī nigāheṅ mujhpe rukī haiṅ
dekh zarā aisī adā aisī nazar aur kahāṇ
mere sanam ke pās na jānā merā sanam hai merā dīvānā
maiṅ hūṇ falaq aur tū zamīn hai
sāre śhahar meṅ …