Saare shahar men aapsaa koee naheen

सारे शहर में आपसा कोई नहीं
Work
Year
Language

र: सारे शहर में आपसा ( कोई नहीं ) -2
आ: सच
र: सारे शहर में …
आ: यही सोचकर रात भर मैं ( सोई नहीं ) -2 -2
र: सारे शहर में …

तुमको मेरी वफ़ा पे जाने क्‌या-क्‌या ग़ुमाँ हो रहे हैं
कितना भी तुम छुपाओ अफ़साने बयाँ हो रहे हैं
इश्क़ करता हूँ आशिक़ मेरा नाम है
आ: आह आशिक़ ह ह ह ह
र: इश्क़ करता हूँ आशिक़ मेरा नाम है
ऐश करना मेरी जाँ मेरा काम है
आ: ऐसे भी हो तुम वैसे भी हो तुम जैसे भी हो
हमको शिक़ायत आपसे ( कोई नहीं ) -2
सारे शहर में …

र: मेरा दिल जिसपे फ़िदा है वो दिलबर वो महबूब हो तुम
आ: थोड़े से तुम हो ज़िद्दी पर आदमी बहुत ख़ूब हो तुम
र: ऐ हसीना बड़ी ख़ूबसूरत हो तुम
मुस्कराती हुई कोई मूरत हो तुम
आ: ऐ जान-ए-जाँ खोए हो कहाँ
कोई तुम्हारी चीज़ तो ( खोई नहीं ) -2
र: सारे शहर में …

ra: sāre śhahar meṅ āpsā ( koī nahīṅ ) -2
ā: sach
ra: sāre śhahar meṅ …
ā: yahī sochkar rāt bhar maiṅ ( soī nahīṅ ) -2 -2
ra: sāre śhahar meṅ …

tumko merī vafā pe jāne k‌yā-k‌yā ġhumāṇ ho rahe haiṅ
kitnā bhī tum chhupāo afsāne bayāṇ ho rahe haiṅ
iśhq kartā hūṇ āśhiq merā nām hai
ā: āh āśhiq ha ha ha ha
ra: iśhq kartā hūṇ āśhiq merā nām hai
aiśh karnā merī jāṇ merā kām hai
ā: aise bhī ho tum vaise bhī ho tum jaise bhī ho
hamko śhiqāyat āpse ( koī nahīṅ ) -2
sāre śhahar meṅ …

ra: merā dil jispe fidā hai vo dilbar vo mahbūb ho tum
ā: thoṛe se tum ho ziddī par ādmī bahut khūb ho tum
ra: ai hasīnā baṛī khūbsūrat ho tum
muskrātī huī koī mūrat ho tum
ā: ai jān-e-jāṇ khoe ho kahāṇ
koī tumhārī chīz to ( khoī nahīṅ ) -2
ra: sāre śhahar meṅ …