Saare badan men zahar charh gayaa ... mujhe bichchhoo lar gayaa re

सारे बदन में ज़हर चढ़ गया ... मुझे बिच्छू लड़ गया रे
Work
Year
Language

अरे ( सारे बदन में ज़हर चढ़ गया
मुझे बिच्छू लड़ गया रे ) -2 बिच्छू लड़ गया
कम न हुआ दर्द और बढ़ गया
बिच्छू लड़ गया …

तूने ओ ज़ुल्मी करके इशारा
चुटकी भरी या डंक मारा
ये देख नीला निशान पड़ गया

( कल जो किया था वो फिर तू आज कर
कोई दवा मेरा इलाज कर ) -2
मर जाऊंगा मैं तेरा पाँव पड़ गया
बिच्छू लड़ गया …

( कलियों ने खिलकर अंगड़ाइयाँ लीं
भंवरों ने सिर पर रुसवाइयाँ लीं ) -2
आई बहार गया पतझड़ गया
बिच्छू लड़ गया …

are ( sāre badan meṅ zahar chaṛh gayā
mujhe bichchhū laṛ gayā re ) -2 bichchhū laṛ gayā
kam na huā dard aur baṛh gayā
bichchhū laṛ gayā …

tūne o zulmī karke iśhārā
chuṭkī bharī yā ḍaṅk mārā
ye dekh nīlā niśhān paṛ gayā

( kal jo kiyā thā vo phir tū āj kar
koī davā merā ilāj kar ) -2
mar jāūṅgā maiṅ terā pāṇv paṛ gayā
bichchhū laṛ gayā …

( kaliyoṅ ne khilkar aṅgaṛāiyāṇ līṅ
bhaṅvroṅ ne sir par rusvāiyāṇ līṅ ) -2
āī bahār gayā patjhaṛ gayā
bichchhū laṛ gayā …