Saamne ye kaun aayaa dil men huee halchal

सामने ये कौन आया दिल में हुई हलचल्
Year
Language

सामने ये कौन आया दिल में हुई हलचल
देख के बस एक ही झलक हो गये हम पागल
बातें मुलाक़ातें तो होंगी हम से भी
वो हम पे खुलेंगी कभी आज नहीं तो कल

आँखों ही आँखों में
बातों ही बातों में
कभी जान पहचान होगी
सुन लो ये कहानी
हसीना इक अनजानी
किसी दिन महरबान होगी
ज़ू ज़ु ज़ू, ज़ू ज़ु ज़ू
ज़ू ज़ु ज़ू, ज़ू ज़ु ज़ु ज़ु
सामने ये कौन आया …

रहना है यहाँ तो
दोनों हैं जवाँ तो
भला दूर कैसे रहेंगे
माना वो हसीं है
तो हम भी कम नहीं हैं
वो मगरूर कैसे रहेंगे
ल ला र, ल ला र
ल ला र, ल ला ल ल
सामने ये कौन आया …

sāmne ye kaun āyā dil meṅ huī halchal
dekh ke bas ek hī jhalak ho gaye ham pāgal
bāteṅ mulāqāteṅ to hoṅgī ham se bhī
vo ham pe khuleṅgī kabhī āj nahīṅ to kal

āṇkhoṅ hī āṇkhoṅ meṅ
bātoṅ hī bātoṅ meṅ
kabhī jān pahchān hogī
sun lo ye kahānī
hasīnā ik anjānī
kisī din maharbān hogī
zū zu zū, zū zu zū
zū zu zū, zū zu zu zu
sāmne ye kaun āyā …

rahnā hai yahāṇ to
donoṅ haiṅ javāṇ to
bhalā dūr kaise raheṅge
mānā vo hasīṅ hai
to ham bhī kam nahīṅ haiṅ
vo magrūr kaise raheṅge
la lā ra, la lā ra
la lā ra, la lā la la
sāmne ye kaun āyā …