jījājī jījājī hone vāle jījājī
śhādī ke phere haiṅ sāt aur hamārī śharteṅ sāt
tumko ho maṅzūr agar tabhī milegā dīdī kā hāth
jījājī jījājī …
pahlī śhart āpko batā deṅ
ki dīdī khānā nahīṅ pakāyegī
are iskī mujhe parvāh nahīṅ
hotel se khānā mṇg lūṇgā
dūsrī ye śhart hai hamrī
ki nain kisī se nahīṅ laṛāoge
are dīvānā hūṇ in naino kā
in se maiṅ nain laṛāūṇgā
sālī o sālījī hone vālī sālījī
jījājī jījājī hone vāle jījājī
tīsrī ye śhart hai hamārī
ki sīdhe daftar se ghar āoge
oy ghar ke sivā jān kahṇ
ghar meṅ hī daftar banā lūṇgā
aur chauthī śhart hai hamārī
ki dīdī ko tum sārī kamāī doge
na rakhūṇgā maiṅ kuchh apne liye
sab kuchh inheṅ maiṅ de dūṇgā
sāli o sālījī hone vālīsālījī
jījājī jījājī hone vāle jījājī
aur pāṇchvī śhart to suniye
dīdī jab bhī maike meṅ jāyegī
to jaldī vāpas nahīṅ bulāoge
are ghar-vālī bin ghabrāyā dil
to sālījī tumko bulā lūṇgā
chhaṭhī śhart to suniye
dīdī kī tārīf meṅ hameśhā
naī kavitā roz sunāoge
kavitā merī na bhāyegī to
tulsī ke dohe sunā dūṇgā
sātvīṅ ye śhart hai hamārī
ki dīdī bachche nahīṅ khilāyegī
are dīdī ko kaṣhṭ na dūṇgā kabhī
bachcho ko khud hī sambhālūṇgā
merī bhī ek śhart suniyejī
are bas, bas, bas
śhādī zarā hone to do
jo bhī kahogī maiṅ mānūṇgā
bīvījī bīvījī hone vālī bīvījī