Saaghar naheen hai to k‌yaa hai

साग़र नहीं है तो क्‌या है
Work
Year
Language

साग़र नहीं है तो क्‌या है तेरी आँख का नशा तो है
बादल नहीं है तो क्‌या है तेरी ज़ुल्फ़ की घटा तो है
साग़र नहीं है …

मेरी तमन्ना की महफ़िल से तुम यूँ उठ के जाने लगे हो
ऐसी भी क्‌या बेरुख़ी रूठ कर हमसे आँखें चुराने लगे हो
मौसम नहीं है तो क्‌या है मौक़ा ये प्यार का तो है
साग़र नहीं है …

तेरी घनी ज़ुल्फ़ के साए में चार पल साथ तेरे जिएँगे
साग़र से रोज़ पीते हैं आज तेरी नज़र से पिएँगे
साक़ी नहीं है तो क्‌या है इक शोख़ दिलरुबा तो है
साग़र नहीं है …

शायद यही है क़यामत की रात मान लेने को जी चाहता है
तेरी क़सम आज दिल ही नहीं जान देने को जी चाहता है -2
क़ातिल नहीं है तो क्‌या है क़ाफ़िर तेरी अदा तो है
साग़र नहीं है …

sāġhar nahīṅ hai to k‌yā hai terī āṇkh kā naśhā to hai
bādal nahīṅ hai to k‌yā hai terī zulf kī ghaṭā to hai
sāġhar nahīṅ hai …

merī tamannā kī mahafil se tum yūṇ uṭh ke jāne lage ho
aisī bhī k‌yā berukhī rūṭh kar hamse āṇkheṅ churāne lage ho
mausam nahīṅ hai to k‌yā hai mauqā ye pyār kā to hai
sāġhar nahīṅ hai …

terī ghanī zulf ke sāe meṅ chār pal sāth tere jieṇge
sāġhar se roz pīte haiṅ āj terī nazar se pieṇge
sāqī nahīṅ hai to k‌yā hai ik śhokh dilrubā to hai
sāġhar nahīṅ hai …

śhāyad yahī hai qayāmat kī rāt mān lene ko jī chāhtā hai
terī qasam āj dil hī nahīṅ jān dene ko jī chāhtā hai -2
qātil nahīṅ hai to k‌yā hai qāfir terī adā to hai
sāġhar nahīṅ hai …