(ho, chehrā hai yā chāṇd khilā hai
zulf ghanerī śhām hai kyā ) - 2
sāgar jaisī āṇkhoṅ vālī
ye to batā terā nām hai kyā …
tū kyā jāne terī khātir
kitnā hai betāb ye dil
tū kyā jāne dekh rahā hai
kaise kaise khvāb ye dil
dil kahtā hai … tū hai yahāṇ to
jātā lamhā tham jāye
vaqt kā dariyā bahte bahte
is maṅjar meṅ jam jāye
tūne dīvānā dil ko banāyā,
is dil pe ilzām hai kyā,
sāgar jaisī āṇkhoṅ vālī,
ye to batā terā nām hai kyā
chehrā hai yā …
ho, āj maiṅ tujhse dūr sahī
aur tū mujhse anjān sahī …
terā sāth nahīṅ pāūṅ to
gair terā armān sahī …
ye armān haiṅ śhor nahīṅ ho
khāmośhī ke mele hoṅ
is duniyā meṅ koī nahīṅ ho
ham dono hī akele hoṅ
tere sapne dekh rahā hūṇ,
aur merā ab kām hai kyā
sāgar jaisī āṇkhoṅ vālī ,
ye to batā terā nām hai kyā
chehrā hai yā …