रुत आ गयी रे, रुत छा गयी रे
पीली पीली सरसों फूले, पीले-पीले पत्ते झूमें
पीहू-पीहू पपीहा बोले, चल बाग़ में
धमक धमक ढोलक बाजे
छनक छनक पायल छनके
खनक खनक कंगना बोले
चल बाग़ में
चुनरी जो तेरी उड़ती है, उड़ जाने दे
बिंदिया जो तेरी गिरती है, गिर जाने दे
गीतों की मौज आई, फूलों की फौज आई
नदिया में जो धूप घुली, सोना बहा ...
अम्बुवा से है लिपटी, एक बेल बेले की
तू ही मुझसे है दूर, आ पास आ ...
मुझको तो साँसों से छु ले
झूलूँ इन बाहों के झूले
प्यार थोड़ा सा मुझे दे के
मेरे जानों दिल तू ले ले
तू जब यूँ सजती है, इक धूम मचती है
सारी गलियों में, सारे बाज़ार में
आँचल बसंती है, उसमें से छनती है
जो मैंने पूजी है मूरत प्यार में
जान कैसी है ये डोरी, मैं बंधा हूँ जिससे गोरी
तेरे नैनों ने मेरी नींदों की, कर ली है चोरी
rut ā gayī re, rut chhā gayī re
pīlī pīlī sarsoṅ phūle, pīle-pīle patte jhūmeṅ
pīhū-pīhū papīhā bole, chal bāġh meṅ
dhamak dhamak ḍholak bāje
chhanak chhanak pāyal chhanke
khanak khanak kaṅgnā bole
chal bāġh meṅ
chunrī jo terī uṛtī hai, uṛ jāne de
biṅdiyā jo terī girtī hai, gir jāne de
gītoṅ kī mauj āī, phūloṅ kī phauj āī
nadiyā meṅ jo dhūp ghulī, sonā bahā ...
ambuvā se hai lipṭī, ek bel bele kī
tū hī mujhse hai dūr, ā pās ā ...
mujhko to sāṇsoṅ se chhu le
jhūlūṇ in bāhoṅ ke jhūle
pyār thoṛā sā mujhe de ke
mere jānoṅ dil tū le le
tū jab yūṇ sajtī hai, ik dhūm machtī hai
sārī galiyoṅ meṅ, sāre bāzār meṅ
āṇchal basaṅtī hai, usmeṅ se chhantī hai
jo maiṅne pūjī hai mūrat pyār meṅ
jān kaisī hai ye ḍorī, maiṅ baṅdhā hūṇ jisse gorī
tere nainoṅ ne merī nīṅdoṅ kī, kar lī hai chorī