Rup teraa aisaa darpan men naa samaae

रुप तेरा ऐसा दर्पन में ना समाए
Year
Language

हारेगा जब कोई बाजी, तभी तो होगी किसी का जीत
दोस्त यहीं दुनिया की रीत, तुम्हें मुबारक मन का मीत

रूप तेरा ऐसा दर्पन में ना समाये
खुश्बू तेरे तन की मधुबन में ना समाये
हो मुझे खुशी मिली इतनी के मन में ना समाये
पलक बंद कर लूँ, कहीं छलक ही ना जाये

मुझे ना मिली जो वो खुशी तू ने पाई
ऐ दोस्त मुबारक हो तुझे प्यार की शहनाई
दुआ मेरे दिल की दामन में ना समाये
तुझे प्यार मिले इतना जीवन में ना समाये

मीत मेरा छिन लिया तू ने छब दिखाके
सदा उसे रखना पलकों पे तू बिठा के
इतना सुख देना, जीवन में ना समाये
यूँ रस बरसाना, आँगन में ना समाये

hāregā jab koī bājī, tabhī to hogī kisī kā jīt
dost yahīṅ duniyā kī rīt, tumheṅ mubārak man kā mīt

rūp terā aisā darpan meṅ nā samāye
khuśhbū tere tan kī madhuban meṅ nā samāye
ho mujhe khuśhī milī itnī ke man meṅ nā samāye
palak baṅd kar lūṇ, kahīṅ chhalak hī nā jāye

mujhe nā milī jo vo khuśhī tū ne pāī
ai dost mubārak ho tujhe pyār kī śhahnāī
duā mere dil kī dāman meṅ nā samāye
tujhe pyār mile itnā jīvan meṅ nā samāye

mīt merā chhin liyā tū ne chhab dikhāke
sadā use rakhnā palkoṅ pe tū biṭhā ke
itnā sukh denā, jīvan meṅ nā samāye
yūṇ ras barsānā, āṇgan meṅ nā samāye