Ruke ruke se kadam, ruk ke baar baar chale

रुके रुके से कदम, रुक के बार बार चले
Work
Year
Language

रुके रुके से कदम रुक के बार बार चले
करार ले के तेरे दर से बेकरार चले

सुबह ना आयी, कई बार नींद से जागे
थी एक रात की ये जिन्दगी, गुजार चले

उठाए फिरते थे एहसान दिल का सीने पर
ले तेरे कदमों में ये कर्ज भी उतार चले

ruke ruke se kadam ruk ke bār bār chale
karār le ke tere dar se bekrār chale

subah nā āyī, kaī bār nīṅd se jāge
thī ek rāt kī ye jindgī, gujār chale

uṭhāe phirte the ehsān dil kā sīne par
le tere kadmoṅ meṅ ye karj bhī utār chale