Ruk jaanaa naheen too kaheen haar ke

रुक जाना नहीं तू कहीं हार के
Work
Year
Language

रुक जाना नहीं तू कहीं हार के
कांटों पे चल के मिलेंगे साये बहार के
ओ राही, ओ राही

नैन आंसू जो लिये हैं, ये राहों के दिये हैं
लोगों को उनका सब कुछ देके
तू तो चला था सपने ही लेके
कोई नहीं तो तेरे अपने हैं सपने ये प्यार के

सूरज देख रुक गया है, तेरे आगे झुक गया है
जब कभी ऐसे कोई मस्ताना
निकले है अपनी धुन में दीवाना
शाम सुहानी बन जाते हैं दिन इंतजार के

साथी ना कारवाँ है, ये तेरा इम्तिहान है
यूँ ही चला चल दिल के सहारे
करती है मंजिल तुझ को इशारे
देख कहीं कोई रोक नहीं ले तुझको पुकार के

ruk jānā nahīṅ tū kahīṅ hār ke
kāṅṭoṅ pe chal ke mileṅge sāye bahār ke
o rāhī, o rāhī

nain āṅsū jo liye haiṅ, ye rāhoṅ ke diye haiṅ
logoṅ ko unkā sab kuchh deke
tū to chalā thā sapne hī leke
koī nahīṅ to tere apne haiṅ sapne ye pyār ke

sūraj dekh ruk gayā hai, tere āge jhuk gayā hai
jab kabhī aise koī mastānā
nikle hai apnī dhun meṅ dīvānā
śhām suhānī ban jāte haiṅ din iṅtjār ke

sāthī nā kārvāṇ hai, ye terā imtihān hai
yūṇ hī chalā chal dil ke sahāre
kartī hai maṅjil tujh ko iśhāre
dekh kahīṅ koī rok nahīṅ le tujhko pukār ke