Ruk jaanaa naheen too kaheen haar ke

रुक जाना नहीं तू कहीं हार के
Work
Year
Language

रुक जाना नहीं तू कहीं हार के
काँटों पे चलके मिलेंगे साये बहार के
ओ राही, ओ राही…

सूरज देख रुक गया है तेरे आगे झुक गया है
जब कभी ऐसे कोई मस्ताना
निकले है अपनी धुन में दीवाना
शाम सुहानी बन जाते हैं दिन इंतज़ार के
ओ राही, ओ राही…

साथी न कारवां है ये तेरा इम्तिहां है
यूँ ही चला चल दिल के सहारे
करती है मंज़िल तुझको इशारे
देख कहीं कोई रोक नहीं ले तुझको पुकार के
ओ राही, ओ राही…

नैन आँसू जो लिये हैं ये राहों के दिये हैं
लोगों को उनका सब कुछ देके
तू तो चला था सपने ही लेके
कोई नहीं तो तेरे अपने हैं सपने ये प्यार के
ओ राही, ओ राही…

ruk jānā nahīṅ tū kahīṅ hār ke
kāṇṭoṅ pe chalke mileṅge sāye bahār ke
o rāhī, o rāhī…

sūraj dekh ruk gayā hai tere āge jhuk gayā hai
jab kabhī aise koī mastānā
nikle hai apnī dhun meṅ dīvānā
śhām suhānī ban jāte haiṅ din iṅtazār ke
o rāhī, o rāhī…

sāthī na kārvāṅ hai ye terā imtihāṅ hai
yūṇ hī chalā chal dil ke sahāre
kartī hai maṅzil tujhko iśhāre
dekh kahīṅ koī rok nahīṅ le tujhko pukār ke
o rāhī, o rāhī…

nain āṇsū jo liye haiṅ ye rāhoṅ ke diye haiṅ
logoṅ ko unkā sab kuchh deke
tū to chalā thā sapne hī leke
koī nahīṅ to tere apne haiṅ sapne ye pyār ke
o rāhī, o rāhī…