Roothe-roothe piyaa manaaoon kaise

रूठे-रूठे पिया मनाऊँ कैसे
Work
Year
Language

रूठे-रूठे पिया मनाऊँ कैसे -2
आज न जाने बात हुई क्‌या क्‌यों रूठे मुझसे
जब तक वो न बोलें मुझसे मैं समझूँ कैसे
रूठे-रूठे पिया …

वो बैठे हैं कुछ ऐसे शादी में दुल्हन जैसे
क्‌या बन के दुल्हा मैं जाऊँ और उनकी माँग सजाऊँ
लम्बी दुल्हन ठिगना दूल्हा -2
जोड़ी जमें कैसे
रूठे-रूठे पिया …

क्‌या मुझसे हसीं हैं क़िताबें पिया जिनको प्यार से थामे
मैं नैन मिलाना चाहूँ पर नैन मिला ना पाऊँ
सौतन चश्मा बीच में आए -2
नैन मिलें कैसे
रूठे-रूठे पिया …

rūṭhe-rūṭhe piyā manāūṇ kaise -2
āj na jāne bāt huī k‌yā k‌yoṅ rūṭhe mujhse
jab tak vo na boleṅ mujhse maiṅ samjhūṇ kaise
rūṭhe-rūṭhe piyā …

vo baiṭhe haiṅ kuchh aise śhādī meṅ dulhan jaise
k‌yā ban ke dulhā maiṅ jāūṇ aur unkī māṇg sajāūṇ
lambī dulhan ṭhignā dūlhā -2
joṛī jameṅ kaise
rūṭhe-rūṭhe piyā …

k‌yā mujhse hasīṅ haiṅ qitābeṅ piyā jinko pyār se thāme
maiṅ nain milānā chāhūṇ par nain milā nā pāūṇ
sautan chaśhmā bīch meṅ āe -2
nain mileṅ kaise
rūṭhe-rūṭhe piyā …