Roop ye teraa kisne banaayaa vo

रूप ये तेरा किसने बनाया वो
Work
Year
Language

रूप ये तेरा किसने बनाया वो
कहीं मिल जाए तो हाथ चूम लूँ
रंग ये तेरा जिसने सजाया वो
कहीं मिल जाए तो हाथ चूम लूँ
कारी कारी रतिया से काजल चुराया
तेरी प्यारी प्यारी अँखियों में लगाया
मुख पे सवेरा जिसने सजाया वो
कहीं मिल जाए तो हाथ चूम लूँ
सुंदर ऐसी कोई कविता नहीं है
चंचल ऐसी कोई सरिता नहीं है
अंग अंग तेरा जिसने बनाया वो
कहीं मिल जाए तो हाथ चूम लूँ
गोरा बदन जैसे शीशे का प्याला
बन गया मैं तो बिन पिये मतवाला
हाल ये मेरा जिसने बनाया वो
कहीं मिल जाए तो हाथ चूम लूँ

rūp ye terā kisne banāyā vo
kahīṅ mil jāe to hāth chūm lūṇ
raṅg ye terā jisne sajāyā vo
kahīṅ mil jāe to hāth chūm lūṇ
kārī kārī ratiyā se kājal churāyā
terī pyārī pyārī aṇkhiyoṅ meṅ lagāyā
mukh pe saverā jisne sajāyā vo
kahīṅ mil jāe to hāth chūm lūṇ
suṅdar aisī koī kavitā nahīṅ hai
chaṅchal aisī koī saritā nahīṅ hai
aṅg aṅg terā jisne banāyā vo
kahīṅ mil jāe to hāth chūm lūṇ
gorā badan jaise śhīśhe kā pyālā
ban gayā maiṅ to bin piye matvālā
hāl ye merā jisne banāyā vo
kahīṅ mil jāe to hāth chūm lūṇ