Roop tumhaaraa aankhon se pee loon

रूप तुम्हारा आँखों से पी लूँ
Work
Year
Language

रूप तुम्हारा आँखों से पी लूँ
कह दो अगर तुम मर के भी जी लूँ
रूप तुम्हारा …

आँखों से छलके तेरी अमृत की धारा
तेरा साथ गोरी मुझ को जीवन से प्यारा
मिले दोनों हम तुम जैसे लहर से किनारा
रूप तुम्हारा …

निगाहें झुका के फिर से ज़रा मुस्कुरा दो
काँपते लबों से दिल की कहानी सुना दो
क्‌या है तुम्हारे दिल में हमें भी बता दो
रूप तुम्हारा …

rūp tumhārā āṇkhoṅ se pī lūṇ
kah do agar tum mar ke bhī jī lūṇ
rūp tumhārā …

āṇkhoṅ se chhalke terī amṛt kī dhārā
terā sāth gorī mujh ko jīvan se pyārā
mile donoṅ ham tum jaise lahar se kinārā
rūp tumhārā …

nigāheṅ jhukā ke phir se zarā muskurā do
kāṇpte laboṅ se dil kī kahānī sunā do
k‌yā hai tumhāre dil meṅ hameṅ bhī batā do
rūp tumhārā …