रोना कभी नहीं रोना चहे टूट जाए
रोना कभी नहीं रोना चहे टूट जाए कोई खिलौना
सोना चुपके से सोना चहे टूट जाए कोई सपना सलोना
रोना कभी नहीं …
दुख-सुख की क्या बात है क्या दिन है क्या रात है
आँसू भी मुस्कान बनें यह तो अपने हाथ है
आशाओं की डोरी में सदा तुम मन के फूल पिरोना
रोना कभी नहीं …
देखो बच्चों बाग़ में सब कलियाँ नहीं खिलतीं
दुनिया में इंसान को सब चीज़ें नहीं मिलतीं
अपना नहीं तुम उसके लिए जो अपना है नहीं खोना
रोना कभी नहीं …
रंग से और न धाम से जात से और न नाम से
इज़्ज़त मिलती है यहाँ देखो अच्छे काम से
कोई काम बुरा तुम मत करना बदनाम कभी नहीं होना
रोना कभी नहीं …
ronā kabhī nahīṅ ronā chahe ṭūṭ jāe koī khilaunā
sonā chupke se sonā chahe ṭūṭ jāe koī sapnā salonā
ronā kabhī nahīṅ …
dukh-sukh kī kyā bāt hai kyā din hai kyā rāt hai
āṇsū bhī muskān baneṅ yah to apne hāth hai
āśhāoṅ kī ḍorī meṅ sadā tum man ke phūl pironā
ronā kabhī nahīṅ …
dekho bachchoṅ bāġh meṅ sab kaliyāṇ nahīṅ khiltīṅ
duniyā meṅ iṅsān ko sab chīzeṅ nahīṅ miltīṅ
apnā nahīṅ tum uske lie jo apnā hai nahīṅ khonā
ronā kabhī nahīṅ …
raṅg se aur na dhām se jāt se aur na nām se
izazat miltī hai yahāṇ dekho achchhe kām se
koī kām burā tum mat karnā badnām kabhī nahīṅ honā
ronā kabhī nahīṅ …