kyā yahī pyār hai, hāṇ yahī pyār hai
dil tere bin kahīṅ lagtā nahīṅ, vakt gujartā nahīṅ
pahle maiṅ samjhā kuchh aur vajah in bātoṅ kī
lekin ab jānā kahāṇ nīṅd gaī merī rātoṅ kī
jāgtī rahtī hūṇ maiṅ bhī chāṇd nikaltā nahīṅ
kaise bhūlūṅgī, tū yād hameśhā āyegā
tere jāne se jīnā muśhkil ho jāyegā
ab kuchh bhī ho dil pe koī zor to chaltā nahīṅ
jaise phūloṅ ke mausam meṅ ye dil khilte haiṅ
premī aise hī kyā patjhaṛ meṅ bhī milte haiṅ
rut badle, duniyā badle, pyār badaltā nahīṅ