mannā: āṇkh meṅ śhokhī, lab pe tabassum,
dil meṅ śharārat, taubā taubā
gāl pe lālī, chāl matvālī,
is pe nazāqat, taubā taubā
āṇkh meṅ śhokhī, ā, ā, o, o, mm-mm!
suman: chāl meṅ jādū ho yā nazāqat
āp se ham ko pyār nahīṅ
aur kisī par ḍāliye ḍore
kah to diyā sau bār nahīṅ
ajī kah to diyā sau bār nahīṅ
mannā: terī nā, nā, nā meṅ hāṇ, hāṇ, hāṇ kā
raṅg-e-muhabbat, taubā taubā
āṇkh meṅ śhokhī …
suman: bandāparavar dekhiye ab to
hāth bhī ham ne joṛ diye
jin rāhoṅ meṅ lailā bhaṭkī
ham ne vo raste chhoṛ diye
ajī ham ne vo raste chhoṛ diye
mann: ajī sun, sun, sun, mujhe chun, chun, chun
terī zid hai qayāmat taubā taubā
āṇkh meṅ śhokhī …
suman: pyār kareṅ yā ham nā kareṅ ye
soch ke ham batlāeṇge
itnā ham ne jān liyā hai
āp nahīṅ bāz āeṇge
ajī āp nahīṅ bāz āeṇge
mann: chalī chham chham chham, arī tham tham tham
hāy, kar nā baġhāvat, taubā taubā
āṇkh meṅ śhokhī …