इस रेशमी पाज़ेब की झंकार के सदके
इस रेशमी पाज़ेब की झंकार के सदके
जिस ने ये पहनाई है उस दिलदार के सदके
उस ज़ुल्फ़ के क़ुरबान लब-ओ-रुक़सार के सदके
हर जलवा था इक शोला हुस्न-ए-यार के सदके
जवानी माँगती ये हसीं झंकार बरसों से
तमन्न बुन रही थी धड़कनों के तार बरसों से
छुप-छुप के आने वाले तेरे प्यार के सदके
इस रेशमी पाज़ेब की …
जवानी सो रही थी हुस्न की रंगीन पनाहों में
चुरा लाये हम उन के नाज़नीं जलवे निगाहों में
क़िसमत से जो हुआ है उस दीदार के सदके
उस ज़ुल्फ़ के क़ुरबान …
नज़र लहरा रही थी ज़ीस्त पे मस्ती सी छाई है
दुबारा देखने की शौक़ ने हलचल मचाई है
दिल को जो लग गया है उस अज़ार के सदके
इस रेशमी पाज़ेब की …
is reśhmī pāzeb kī jhaṅkār ke sadke
jis ne ye pahnāī hai us dildār ke sadke
us zulf ke qurbān lab-o-ruqsār ke sadke
har jalvā thā ik śholā husn-e-yār ke sadke
javānī māṇgtī ye hasīṅ jhaṅkār barsoṅ se
tamann bun rahī thī dhaṛaknoṅ ke tār barsoṅ se
chhup-chhup ke āne vāle tere pyār ke sadke
is reśhmī pāzeb kī …
javānī so rahī thī husn kī raṅgīn panāhoṅ meṅ
churā lāye ham un ke nāznīṅ jalve nigāhoṅ meṅ
qismat se jo huā hai us dīdār ke sadke
us zulf ke qurbān …
nazar lahrā rahī thī zīst pe mastī sī chhāī hai
dubārā dekhne kī śhauq ne halchal machāī hai
dil ko jo lag gayā hai us azār ke sadke
is reśhmī pāzeb kī …