ai dil-e-nādān, ai dil-e-nādān
ārazū kyā hai, justjū kyā hai
ham bhaṭakte haiṅ, kyoṅ bhaṭakte haiṅ, daśht-o-sehrā meṅ
aisā lagtā hai, mauj pyāsī hai apne dariyā meṅ
kaisī uljhan hai, kyoṅ ye uljhan hai
ek sāyā sā rūbrū kyā hai
kyā kayāmat hai, kyā musībat hai
kah nahīṅ sakte, kis kā armāṅ hai
jiṅdgī jaise khoī khoī hai, hairāṅ hairāṅ hai
ye zamīṅ chūp hai, āsmāṅ chūp hai
phir ye dhaṛkan sī chār sū kyā hai
ai dil-e-nādān, aisī rāhoṅ meṅ kitne kāṇṭe haiṅ
ārjūoṅ ne har kisī dil ko dard bāṇṭe haiṅ
kitne ghāyal haiṅ, kitne bismil haiṅ
is khudāī meṅ ek tū kyā hai