इस रंग बदलती दुनिया में, इनसान की नीयत ठीक नहीं
इस रंग बदलती दुनिया में
इनसान की नीयत ठीक नहीं
निकला न करो तुम सज-धजकर
ईमान की नीयत ठीक नहीं, इस्…
ये दिल है बड़ा ही दीवाना
छेड़ा न करो इस पागल को
तुम से न शरारत कर बैठे
नादान की नीयत ठीक नहीं, इस्…
काँधे से हटा लो सर अपना
ये प्यार मुहब्बत रहने दो
कश्ती को सम्भालो मौजों में
तूफ़ान की नीयत ठीक नहीं, इस्…
मैं कैसे खुदा हाफ़िज़ कह दूँ
मुझको तो किसी का यकीन नहीं
छुप जाओ हमारी आँखों में
भगवान की नीयत ठीक नहीं, इस्…
is raṅg badaltī duniyā meṅ
insān kī nīyat ṭhīk nahīṅ
niklā na karo tum saj-dhajkar
īmān kī nīyat ṭhīk nahīṅ, is…
ye dil hai baṛā hī dīvānā
chheṛā na karo is pāgal ko
tum se na śharārat kar baiṭhe
nādān kī nīyat ṭhīk nahīṅ, is…
kāṇdhe se haṭā lo sar apnā
ye pyār muhabbat rahne do
kaśhtī ko sambhālo maujoṅ meṅ
tūfān kī nīyat ṭhīk nahīṅ, is…
maiṅ kaise khudā hāfiz kah dūṇ
mujhko to kisī kā yakīn nahīṅ
chhup jāo hamārī āṇkhoṅ meṅ
bhagvān kī nīyat ṭhīk nahīṅ, is…