Rang aur noor kee baaraat kise pesh karoon

रंग और नूर की बारात किसे पेश करूँ
Work
Year
Language

रंग और नूर की बारात किसे पेश करूँ
ये मुरादों की हंसीं रात किसे पेश करूँ, किसे पेश करूँ

मैने जज़बात निभाए हैं उसूलों की जगह (2)
अपने अरमान पिरो लाया हूँ फूलों की जगह
तेरे सेहरे की …
तेरे सेहरे की ये सौगात किसे पेश करूँ
ये मुरादों की हसीं रात किसे पेश करूँ, किसे पेश करूँ

ये मेरे शेर मेरे आखिरी नज़राने हैं (2)
मैं उन अपनों मैं हूँ जो आज से बेगाने हैं
बेत-आ-लुख़ सी मुलाकात किसे पेश करूँ
ये मुरादों की हंसीं रात किसे पेश करूँ, किसे पेश करूँ

सुर्ख जोड़े की तबोताब मुबारक हो तुझे (2)
तेरी आँखों का नया ख़्वाब मुबारक हो तुझे
ये मेरी ख़्वाहिश ये ख़यालात किसे पेश करूँ
ये मुरादों की हंसीं रात किसे पेश करूँ, किसे पेश करूँ

कौन कहता है चाहत पे सभी का हक़ है (2)
तू जिसे चाहे तेरा प्यार उसी का हक़ है
मुझसे कह दे …
मुझसे कह दे मैं तेरा हाथ किसे पेश करूँ
ये मुरादों की हंसीं रात किसे पेश करूँ, किसे पेश करूँ

रंग और नूर की …

raṅg aur nūr kī bārāt kise peśh karūṇ
ye murādoṅ kī haṅsīṅ rāt kise peśh karūṇ, kise peśh karūṇ

maine jazbāt nibhāe haiṅ usūloṅ kī jagah (2)
apne armān piro lāyā hūṇ phūloṅ kī jagah
tere sehre kī …
tere sehre kī ye saugāt kise peśh karūṇ
ye murādoṅ kī hasīṅ rāt kise peśh karūṇ, kise peśh karūṇ

ye mere śher mere ākhirī nazrāne haiṅ (2)
maiṅ un apnoṅ maiṅ hūṇ jo āj se begāne haiṅ
bet-ā-lukh sī mulākāt kise peśh karūṇ
ye murādoṅ kī haṅsīṅ rāt kise peśh karūṇ, kise peśh karūṇ

surkh joṛe kī tabotāb mubārak ho tujhe (2)
terī āṇkhoṅ kā nayā khvāb mubārak ho tujhe
ye merī khvāhiśh ye khayālāt kise peśh karūṇ
ye murādoṅ kī haṅsīṅ rāt kise peśh karūṇ, kise peśh karūṇ

kaun kahtā hai chāhat pe sabhī kā haq hai (2)
tū jise chāhe terā pyār usī kā haq hai
mujhse kah de …
mujhse kah de maiṅ terā hāth kise peśh karūṇ
ye murādoṅ kī haṅsīṅ rāt kise peśh karūṇ, kise peśh karūṇ

raṅg aur nūr kī …