ra: (tum ne pukārā aur ham chale āe
dil hathelī par le āe re) -2
su: (tum ne pukārā aur ham chale āe
jān hathelī par le āe re) -2
ra: āo baiṭho hamāre pahlū meṅ panāh le lo
merī jaltī huī āṇkhoṅ pe ye āṇkheṅ rakh do
ai mere pyār ke khvāboṅ kī hasīṅ śhahazādī
hoṅṭh kyoṅ kāṅp rahe haiṅ, zarā kuchh to bolo
su: tum ne pukārā aur ham chale āe
jān hathelī par le āe re
ra: tum ne pukārā aur ham chale āe
su: āj khelo merī zulfoṅ se, ijāzat hai tumheṅ
mujhko chhū lo, merī nas nas meṅ śharāre bhar do
mere dildār merī āṇkhoṅ meṅ rahne vāle
maiṅ tumhārī hūṇ, merī māṇg meṅ tāre bhar do
ra: tum ne pukārā aur ham chale āe
dil hathelī par le āe re
ra: nām rauśhan hai tumhīṅ se mere afsāne kā
ziṅdgī nām hai ulfat meṅ jīe jāne kā
tum agar hamko na milte to ye sūrat hotī
log le jāte janāzā tere dīvāne kā
su: tum ne pukārā aur ham chale āe
jān hathelī par le āe re
ra: tum ne pukārā aur ham chale āe