lā de mohe bālmā āsmānī chūṛiyāṇ,
jī āsmānī chūṛiyāṇ, o .o .o
dil ko mere bhāyeṅ nā ye purānī chūṛiyāṇ,
jī ye purānī chūṛiyāṇ, lā de mohe bālmā …
ajī bharke nazar dekh lo idhar chūṛiyoṅ kī tum karo na fikar
bhūl na jānā dil ko lekar ghāyal man hai, zakhmī jigar
jab se laṛī tum se nazar ham haiṅ udhar tum ho jidhar
āo jī kar le mil ke guzar duniyā ko ho na magar
tere mere dil kī khabar
tere liye lāūṇgā man lubhānī chūṛiyāṇ,
jī man lubhānī chūṛiyāṇ, lā de mohe bālmā …
bhole piyā merā jiyā tum ne liyā hai -2
ajī tum ne hameṅ, ham ne tumheṅ pyār kiyā hai -2
tumheṅ chhoṛ ke balam jāyeṅge na ham khāye hue haiṅ pyār kī qasam
roegā na dil khāeṇge na ġham, koī na hogā dil pe sitam
tum hī piyā, tum hī sanam, rakhnā merī lāj śharam
tere hī dam se hai merā dam lāgī ho dekho na kam
sāth milke chham-chhamā-chham
de de mujhe pyār kī tū niśhānī chūṛiyāṇ
jī tū niśhānī chūṛiyāṇ
lā de mohe bālmā āsmānī chūṛiyāṇ, o .o .o
jī āsmānī chūṛiyāṇ
tere liye lāūṇgā man lubhānī chūṛiyāṇ,
jī man lubhānī chūṛiyāṇ