Rahte the kabhee jin ke dil men, ham jaan se bhee pyaaron kee tarh

रहते थे कभी जिन के दिल में, हम जान से भी प्यारों की तरह
Work
Year
Language

रहते थे कभी जिनके दिल में, हम जान से भी प्यारों की तरह
बैठे हैं उन्ही के कूंचे में हम, आज गुनहगारों की तरह

दावा था जिन्हें हमदर्दी का, खुद आ के ना पूछा हाल कभी
महफ़िल में बुलाया हैं हमपे हसने को सितमगारों की तरह

बरसों के सुलगते तम मन पर, अश्कों के तो छिंटे दे ना सके
तपते हुये दिल के जख्मोंपर, बरसे भी तो अंगारों की तरह

सौ रूप भरे जीने के लिये, बैठे हैं हजारो ज़हर पिये
ठोकर ना लगाना हम खुद हैं गिरती हुयी दीवारों की तरह

rahte the kabhī jinke dil meṅ, ham jān se bhī pyāroṅ kī tarah
baiṭhe haiṅ unhī ke kūṅche meṅ ham, āj gunahgāroṅ kī tarah

dāvā thā jinheṅ hamdardī kā, khud ā ke nā pūchhā hāl kabhī
mahafil meṅ bulāyā haiṅ hampe hasne ko sitamgāroṅ kī tarah

barsoṅ ke sulagte tam man par, aśhkoṅ ke to chhiṅṭe de nā sake
tapte huye dil ke jakhmoṅpar, barse bhī to aṅgāroṅ kī tarah

sau rūp bhare jīne ke liye, baiṭhe haiṅ hajāro zahar piye
ṭhokar nā lagānā ham khud haiṅ girtī huyī dīvāroṅ kī tarh