Raf्taa raf्taa vo mere hastee kaa saamaan ho gae

रफ़्ता रफ़्ता वो मेरे हस्ती का सामां हो गए
Work
Language

रफ़्ता रफ़्ता वो मेरे हस्ती का सामां हो गए
पहले जां, फिर जान-ए-जां
फिर जान-ए-जाना हो गए
रफ़्ता…

दिन-ब-दिन बढ़ती गईं, उस हुस्न की रानाइयां
पहले गुल, फिर गुलबदन, फिर गुलबदाना हो गए
रफ़्ता…

आप तो नज़दीक से, नज़दीकतर आते गए
पहले दिल, फिर दिलरुबा, फिर दिल के महमां हो गए
रफ़्ता…

प्यार जब हद से बढ़ा, सारे तकल्लुफ़ मिट गए
आप से फिर तुम हुए, फिर तू का उनवा हो गए
रफ़्ता…

raftā raftā vo mere hastī kā sāmāṅ ho gae
pahle jāṅ, phir jān-e-jāṅ
phir jān-e-jānā ho gae
raftā…

din-ba-din baṛhtī gaīṅ, us husn kī rānāiyāṅ
pahle gul, phir gulabdan, phir gulabdānā ho gae
raftā…

āp to nazdīk se, nazdīkatar āte gae
pahle dil, phir dilrubā, phir dil ke mahmāṅ ho gae
raftā…

pyār jab had se baṛhā, sāre takalluf miṭ gae
āp se phir tum hue, phir tū kā unvā ho gae
raftā…