Rab ko yaad karoon ... oy rabbaa bichharaa yaar milaa de

रब को याद करूं ... ओय रब्बा बिछड़ा यार मिला दे
Year
Language

रब को याद करूं -2
एक फ़रियाद करूं
बिछड़ा यार मिला दे
( ओय रब्बा ) -2 बिछड़ा यार मिला दे मेरा दिलदार मिला दे
ओय रब्बा बिछड़ा यार …

जब से हुई ये लम्बी जुदाई न चैन आया न नींद आई
नज़रें तरस गईं आँखें बरस गईं मुझे दीदार करा दे
( ओय रब्बा ) -2 बिछड़ा यार …

जो चाहे उसकी बाहों में झूलूं आँखों में देकूं हाथों से छू लूं
अपने बीच में खड़ी ये दीवार मिटा दे
( ओय रब्बा ) -2 बिछड़ा यार …

उससे बिछड़कर यूं ही जी रहा हूँ साज़-ए-दिल टूट गया नग़मा रूठ गया
तार से तार मिला दे
( ओय रब्बा ) -2 बिछड़ा यार …

कहदे कुछ ऐसा तू हाल मेरा आ जाए सुनकर ( मेरा मसीहा )-2
उस तक पहुंचे खबर आ मिलना है अगर
मुझे बीमार बना दे
( ओय रब्बा ) -2 बिछड़ा यार …

rab ko yād karūṅ -2
ek fariyād karūṅ
bichhaṛā yār milā de
( oy rabbā ) -2 bichhaṛā yār milā de merā dildār milā de
oy rabbā bichhaṛā yār …

jab se huī ye lambī judāī na chain āyā na nīṅd āī
nazreṅ taras gaīṅ āṇkheṅ baras gaīṅ mujhe dīdār karā de
( oy rabbā ) -2 bichhaṛā yār …

jo chāhe uskī bāhoṅ meṅ jhūlūṅ āṇkhoṅ meṅ dekūṅ hāthoṅ se chhū lūṅ
apne bīch meṅ khaṛī ye dīvār miṭā de
( oy rabbā ) -2 bichhaṛā yār …

usse bichhaṛkar yūṅ hī jī rahā hūṇ sāz-e-dil ṭūṭ gayā naġhmā rūṭh gayā
tār se tār milā de
( oy rabbā ) -2 bichhaṛā yār …

kahde kuchh aisā tū hāl merā ā jāe sunkar ( merā masīhā )-2
us tak pahuṅche khabar ā milnā hai agar
mujhe bīmār banā de
( oy rabbā ) -2 bichhaṛā yār …