Rab dee kasam ... honaa na tum judaa ham mar jaaenge

रब दी कसम ... होना न तुम जुदा हम मर जाएंगे
Work
Year
Language

रब दी कसम
जितने हैं आशिक़ सब दी कसम
होना न तुम जुदा हम मर जाएंगे सनम
रब दी कसम …

भूल बैठे हैं हम सबको याद बस तुमको करते हैं
नाम तेरा लेकर हम जीते हैं मरते हैं
छोड़ दी हमने ये दुनिया थामकर तेरे आँचल को
प्यार की राहों में हम रुकते हैं चलते हैं
हो हम जैसे शहर में दीवाने होंगे कम
रब दी कसम …

दिल नहीं लगता तेरे बिन दिन गुज़र जाता है लेकिन
रात को डस जातीं हैं हमको ये तन्हाइयां
कुछ तुम्हें भी हो जाएगा कुछ हमें भी हो जाएगा
सामने बैठके न लो ऐसे अंगड़ाइयां
अरे आगे न कुछ कहो सब जानते हैं हम
रब दी कसम …

rab dī kasam
jitne haiṅ āśhiq sab dī kasam
honā na tum judā ham mar jāeṅge sanam
rab dī kasam …

bhūl baiṭhe haiṅ ham sabko yād bas tumko karte haiṅ
nām terā lekar ham jīte haiṅ marte haiṅ
chhoṛ dī hamne ye duniyā thāmkar tere āṇchal ko
pyār kī rāhoṅ meṅ ham rukte haiṅ chalte haiṅ
ho ham jaise śhahar meṅ dīvāne hoṅge kam
rab dī kasam …

dil nahīṅ lagtā tere bin din guzar jātā hai lekin
rāt ko ḍas jātīṅ haiṅ hamko ye tanhāiyāṅ
kuchh tumheṅ bhī ho jāegā kuchh hameṅ bhī ho jāegā
sāmne baiṭhke na lo aise aṅgaṛāiyāṅ
are āge na kuchh kaho sab jānte haiṅ ham
rab dī kasam …