Raat suhaanee jaag rahee hai dheere-dheere chupke-chupke

रात सुहानी जाग रही है धीरे-धीरे चुपके-चुपके
Work
Year
Language

रात सुहानी जाग रही है
धीरे-धीरे चुपके-चुपके चोरी-चोरी हो
प्रेम कहानी जाग रही है
धीरे-धीरे …

चल रहे हैं जादू थम गया ज़माना
दिल चुरा रहा है ये समाँ सुहाना
पालकी चमन में फूलों की उतार के
ये बहार गा रही है गीत प्यार के ओ
और जवानी जाग रही है
धीरे-धीरे …

चाँद कर रहा है प्यार के इशारे
ये हमारे नयना बन गए हैं तारे
नींद ने न आने की उठाई है क़सम ओ
नींद कैसे आए मन के द्वार पे सनम ओ
प्रीत दीवानी जाग रही है
धीरे-धीरे …

एक पहेली तुम मुझसे पूछो
आ गए कहाँ हम ये किसी से पूछो
ये ज़मीन लग रही है आसमान सी
दिल की धड़कनों में पड़ गई है तान सी ओ
ज़िन्दगानी जाग रही है
धीरे-धीरे …

rāt suhānī jāg rahī hai
dhīre-dhīre chupke-chupke chorī-chorī ho
prem kahānī jāg rahī hai
dhīre-dhīre …

chal rahe haiṅ jādū tham gayā zamānā
dil churā rahā hai ye samāṇ suhānā
pālkī chaman meṅ phūloṅ kī utār ke
ye bahār gā rahī hai gīt pyār ke o
aur javānī jāg rahī hai
dhīre-dhīre …

chāṇd kar rahā hai pyār ke iśhāre
ye hamāre naynā ban gae haiṅ tāre
nīṅd ne na āne kī uṭhāī hai qasam o
nīṅd kaise āe man ke dvār pe sanam o
prīt dīvānī jāg rahī hai
dhīre-dhīre …

ek pahelī tum mujhse pūchho
ā gae kahāṇ ham ye kisī se pūchho
ye zamīn lag rahī hai āsmān sī
dil kī dhaṛaknoṅ meṅ paṛ gaī hai tān sī o
zindgānī jāg rahī hai
dhīre-dhīre …