Raat-raat bhar jaag-jaag kar intazaar karte hain

रात-रात भर जाग-जाग कर इन्तज़ार करते हैं
Year
Language

रात-रात भर जाग-जाग कर इन्तज़ार करते हैं
हम तुमसे प्यार करते हैं

जब-जब बादल चाँद से खेले आँख-मिचौली
जब-जब भँवरा फूल से बोले प्यार की बोली
उस घड़ी सनम तुमको याद हम बार-बार करते हैं
हम तुमसे प्यार …

तुमको करके दूर हम आज हैं ख़ुद पछताते
नैन बिछे हैं राह में काश के तुम आ जाते
जब से तुम गए हमको ग़म नए बेक़रार करते हैं
हम तुमसे प्यार …

rāt-rāt bhar jāg-jāg kar intazār karte haiṅ
ham tumse pyār karte haiṅ

jab-jab bādal chāṇd se khele āṇkh-michaulī
jab-jab bhṇvrā phūl se bole pyār kī bolī
us ghaṛī sanam tumko yād ham bār-bār karte haiṅ
ham tumse pyār …

tumko karke dūr ham āj haiṅ khud pachhtāte
nain bichhe haiṅ rāh meṅ kāśh ke tum ā jāte
jab se tum gae hamko ġham nae beqrār karte haiṅ
ham tumse pyār …