Raat ko chupke se ... main chaahoon sapnon men bas saath tumhaaraa

रात को चुपके से ... मैं चाहूँ सपनों में बस साथ तुम्हारा
Work
Year
Language

रात को चुपके से आता है इक फ़रिश्ता
कुछ ख़ुशियों के लम्हे लाता है इक फ़रिश्ता
कहता है सपनों के आग़ोश में खो जाओ
तुम भूल के ग़म सारे चुपके से सो जाओ

मैं मूँद के पलकों को जाने कब सो जाती हूँ
अनजानी नगरी में कहीं गुम हो जाती हूँ

मैं चाहूँ सपनों में बस साथ तुम्हारा हो -2
( इन मेरे हाथों में ) -2 हाथ तुम्हारा हो
मैं चाहूँ सपनों में बस साथ तुम्हारा हो

गीतों की रिमझिम में चाहत के मौसम में
तुम हमसे मिलते हो हम तुमसे मिलते हैं
दिन-रात बदलते हैं हालात बदलते हैं
हर इक पल हर इक लम्हा हम संग-संग चलते हैं
फिर सुबह होती है और टूटते हैं सपने
ना जाने ऐसे क्‌यों रूठते हैं सपने
तुम तनहा रहते हो मैं तनहा रहती हूँ
एक बार नहीं सौ बार मैं फिर भी कहती हूँ
मैं चाहूँ सपनों में बस साथ तुम्हारा हो

अनजानी राहों में जीवन की बाँहों में
कभी सुख भी मिलते हैं कभी दुख भी मिलते हैं
कल किसने देखा है कल किसने जाना है
तक़दीर के ये अफ़साने हम सबको छलते हैं
कभी ख़्वाहिश इस दिल की यहाँ पूरी होती है
कभी ख़्वाहिश इस दिल की दिल में ही रहती है
पल-पल ये सफ़र लेकिन चलता ही रहता है
हर साँस में एक रंग नया भरता ही रहता है
मैं चाहूँ सपनों में बस साथ तुम्हारा हो -2
( इन मेरे हाथों में ) -2 हाथ तुम्हारा हो
मैं चाहूँ सपनों में बस साथ तुम्हारा हो
मैं चाहूँ सपनों में

rāt ko chupke se ātā hai ik fariśhtā
kuchh khuśhiyoṅ ke lamhe lātā hai ik fariśhtā
kahtā hai sapnoṅ ke āġhośh meṅ kho jāo
tum bhūl ke ġham sāre chupke se so jāo

maiṅ mūṇd ke palkoṅ ko jāne kab so jātī hūṇ
anjānī nagrī meṅ kahīṅ gum ho jātī hūṇ

maiṅ chāhūṇ sapnoṅ meṅ bas sāth tumhārā ho -2
( in mere hāthoṅ meṅ ) -2 hāth tumhārā ho
maiṅ chāhūṇ sapnoṅ meṅ bas sāth tumhārā ho

gītoṅ kī rimjhim meṅ chāhat ke mausam meṅ
tum hamse milte ho ham tumse milte haiṅ
din-rāt badalte haiṅ hālāt badalte haiṅ
har ik pal har ik lamhā ham saṅg-saṅg chalte haiṅ
phir subah hotī hai aur ṭūṭte haiṅ sapne
nā jāne aise k‌yoṅ rūṭhte haiṅ sapne
tum tanhā rahte ho maiṅ tanhā rahtī hūṇ
ek bār nahīṅ sau bār maiṅ phir bhī kahtī hūṇ
maiṅ chāhūṇ sapnoṅ meṅ bas sāth tumhārā ho

anjānī rāhoṅ meṅ jīvan kī bāṇhoṅ meṅ
kabhī sukh bhī milte haiṅ kabhī dukh bhī milte haiṅ
kal kisne dekhā hai kal kisne jānā hai
taqdīr ke ye afsāne ham sabko chhalte haiṅ
kabhī khvāhiśh is dil kī yahāṇ pūrī hotī hai
kabhī khvāhiśh is dil kī dil meṅ hī rahtī hai
pal-pal ye safar lekin chaltā hī rahtā hai
har sāṇs meṅ ek raṅg nayā bhartā hī rahtā hai
maiṅ chāhūṇ sapnoṅ meṅ bas sāth tumhārā ho -2
( in mere hāthoṅ meṅ ) -2 hāth tumhārā ho
maiṅ chāhūṇ sapnoṅ meṅ bas sāth tumhārā ho
maiṅ chāhūṇ sapnoṅ meṅ