Raat kee hathelee par chaand jagamgaataa hai

रात की हथेली पर चाँद जगमगाता है
Work
Year
Language

रात की हथेली पर चाँद जगमगाता है
उसकी नर्म किरणों में तुमको देखता हूँ तो
दिल धड़क सा जाता है
रात की हथेली पर …

तुम कहाँ से आई हो किस नगर को जाओगी
सोचता हूँ मैं हैरां
चाँद जैसा ये चेहरा रात जैसी ये ज़ुल्फ़ें
हैं जगाए सौ अरमां
इक नशा सा आँखों में धीरे धीरे छाता है
रात की हथेली पर …

मेरी इस तन्हाई में मेरे इस वीराने में
रंग ले के तुम आईं
फिर भी सोचता हूँ मैं क्‌या यहां तुम सचमुच हो
या हो सिर्फ़ परछाईं
ख्वाब जैसे बनता है और टूट जाता है
रात की हथेली पर …

rāt kī hathelī par chāṇd jagamgātā hai
uskī narm kirṇoṅ meṅ tumko dekhtā hūṇ to
dil dhaṛak sā jātā hai
rāt kī hathelī par …

tum kahāṇ se āī ho kis nagar ko jāogī
sochtā hūṇ maiṅ hairāṅ
chāṇd jaisā ye chehrā rāt jaisī ye zulfeṅ
haiṅ jagāe sau armāṅ
ik naśhā sā āṇkhoṅ meṅ dhīre dhīre chhātā hai
rāt kī hathelī par …

merī is tanhāī meṅ mere is vīrāne meṅ
raṅg le ke tum āīṅ
phir bhī sochtā hūṇ maiṅ k‌yā yahāṅ tum sachmuch ho
yā ho sirf parchhāīṅ
khvāb jaise bantā hai aur ṭūṭ jātā hai
rāt kī hathelī par …