kiśhor: gum hai kisī ke pyār meṅ, dil subah śhām
par tumheṅ likh nahīṅ pāūṇ, maiṅ uskā nām
hāy rām, hāy rām
raṅdhīr: kuchh likhā?
rekhā: hāṇ
raṅdhīr: kyā likhā?
latā: gum hai kisī ke pyār meṅ, dil subah śhām
par tumheṅ likh nahīṅ pāūṇ, maiṅ uskā nām
hāy rām, hāy rām
rekhā: achchhā, āge kyā likhūṇ?
raṅdhīr: āge?
kiśhor: sochā hai ek din maiṅ usse milke
kah ḍālūṇ apne sab hāl dil ke
aur kar dūṇ jīvan uske havāle
phir chhoṛ de chāhe apnā banā le
ab to jaise bhī merā ho aṅjām
gum hai kisī ke pyār meṅ, dil subah śhām
par tumheṅ likh nahīṅ pāūṇ, maiṅ uskā nām,
hāy rām, hāy rām
raṅdhīr: likh liyā?
rekh: hāṇ
raṅdhīr: zarā paṛhke to sunāo
latā: chāhā hai tumne jis bāvrī ko
vo bhī sajanvā chāhe tumhīṅ ko
nainā uṭhāe to pyār samjho
palkeṅ jhukā de to iqrār samjho
rakhtī hai kab se chhupā chhupā ke
raṅdhīr: kyā?
latā: apne hoṅṭhoṅ meṅ piyā terā nām
gum hai kisī ke pyār meṅ, dil subah śhām
par tumheṅ likh nahīṅ pāūṇ, maiṅ uskā nām
hāy rām, hāy rām