Raajaa kee qaid men raanee hai ... khauf्

राजा की क़ैद में रानी है ... ख़ौफ़्
Work
Year
Language

मैं गिला तुझसे करूं भी तो भला कैसे
तुझको देखूं तो मोहब्बत तेरी याद आती है
आजकल दूर रहूं या कि तेरे पास रहूं
साँस डर डर के कलेजे में अटक जाती है

ये अद्भुत प्रेम कहानी है हो
राजा की क़ैद में रानी है
जाने ये कैसी चाहत है ये कैसा चाहने वाला है
ये जिसके प्यार में पागल था उसको पागल कर डाला है

ये इश्क़ नहीं और इश्क़ भी है हो
या इश्क़ में कोई बेईमानी है
राजा की क़ैद में …

चुप रहती है तो डरती है कुछ कहती है तो मरती है हो
कोई तो ऐसी दहशत है जो इसका पीछा करती है
रिश्ते तो कब के उलझ गए हो
इक डोर मगर सुलझानी है
राजा की क़ैद में …

चेहरे पे ख़ौफ़ आँखों में ख़ौफ़
साँसों में ख़ौफ़ होंठों में ख़ौफ़
कसमों में ख़ौफ़ वादों में ख़ौफ़
बाहों में ख़ौफ़ यादों में ख़ौफ़
नींदों में ख़ौफ़ ख्वाबों में ख़ौफ़
दिल में है ख़ौफ़ धड़कन में ख़ौफ़
है इधर ख़ौफ़ है उधर ख़ौफ़
जिस तरफ़ जाए उस तरफ़ ख़ौफ़
राजा की क़ैद में …

maiṅ gilā tujhse karūṅ bhī to bhalā kaise
tujhko dekhūṅ to mohabbat terī yād ātī hai
ājkal dūr rahūṅ yā ki tere pās rahūṅ
sāṇs ḍar ḍar ke kaleje meṅ aṭak jātī hai

ye adbhut prem kahānī hai ho
rājā kī qaid meṅ rānī hai
jāne ye kaisī chāhat hai ye kaisā chāhne vālā hai
ye jiske pyār meṅ pāgal thā usko pāgal kar ḍālā hai

ye iśhq nahīṅ aur iśhq bhī hai ho
yā iśhq meṅ koī beīmānī hai
rājā kī qaid meṅ …

chup rahtī hai to ḍartī hai kuchh kahtī hai to martī hai ho
koī to aisī dahśhat hai jo iskā pīchhā kartī hai
riśhte to kab ke ulajh gae ho
ik ḍor magar suljhānī hai
rājā kī qaid meṅ …

chehre pe khauf āṇkhoṅ meṅ khauf
sāṇsoṅ meṅ khauf hoṅṭhoṅ meṅ khauf
kasmoṅ meṅ khauf vādoṅ meṅ khauf
bāhoṅ meṅ khauf yādoṅ meṅ khauf
nīṅdoṅ meṅ khauf khvāboṅ meṅ khauf
dil meṅ hai khauf dhaṛkan meṅ khauf
hai idhar khauf hai udhar khauf
jis taraf jāe us taraf khauf
rājā kī qaid meṅ …