Raajaa kee kahaanee puraanee ho gaee

राजा की कहानी पुरानी हो गई
Work
Year
Language

दारे रारा दारू रारा दारे रारा दारू रम
राजा की कहानी पुरानी हो गई
भोली थी जो रानी सयानी हो गई
अहा
राजा की कहानी …

राजा जी तो रंगरेली करते हैं घर से बाहर
पर चाहें के रानी झाड़ू मारे घर के अंदर
राजा जी पड़ने वाली है झाड़ू तुम्हारे सर पर मार
बड़े दिनों तुम्हारी मनमानी हो गई
भोली थी जो रानी …

राजा जी कहते तो हैं रानी को जीवन साथी
लेकिन समझें रानी को च्यूंटी अपने को हाथी
राजा जी वो दिन बीते अरे राजा जी वो दिन बीते जब रानी इक अबला थी
हाँ अबला रानी महारानी हो गई
राजा की कहानी …

हे राजा जी ये चाहें रानी माने उनकी बात
रात को चाहें दिन कह दें वो चाहें दिन को रात
हे राजा जी पड़ने वाली है रानी की इक लात
रानी बिगड़ी है तूफ़ानी हो गई
राजा की कहानी …

dāre rārā dārū rārā dāre rārā dārū ram
rājā kī kahānī purānī ho gaī
bholī thī jo rānī sayānī ho gaī
ahā
rājā kī kahānī …

rājā jī to raṅgrelī karte haiṅ ghar se bāhar
par chāheṅ ke rānī jhāṛū māre ghar ke aṅdar
rājā jī paṛne vālī hai jhāṛū tumhāre sar par mār
baṛe dinoṅ tumhārī manmānī ho gaī
bholī thī jo rānī …

rājā jī kahte to haiṅ rānī ko jīvan sāthī
lekin samjheṅ rānī ko chyūṅṭī apne ko hāthī
rājā jī vo din bīte are rājā jī vo din bīte jab rānī ik ablā thī
hāṇ ablā rānī mahārānī ho gaī
rājā kī kahānī …

he rājā jī ye chāheṅ rānī māne unkī bāt
rāt ko chāheṅ din kah deṅ vo chāheṅ din ko rāt
he rājā jī paṛne vālī hai rānī kī ik lāt
rānī bigaṛī hai tūfānī ho gaī
rājā kī kahānī …