Raahee naye-naye rastaa nayaa-nayaa

राही नये-नये रस्ता नया-नया
Year
Language

राही नये-नये रस्ता नया-नया
तुम ना बदलीं मैं ना बदला सब-कुछ बदल गया
राही नये-नये …

याद सुहानी बचपन की पत्थर पे खिंची रेखा
पहला-पहला प्यार दिलों से मिटते नहीं देखा
तूफ़ान समय के बुझा न सके दीप जला तो जला
तुम ना बदलीं …

वक़्त के साथ बदल जाए उसे प्यार नहीं कहते
जो हर मोड़ पे मुड़ जाए उसे यार नहीं कहते
यार वही जो साथी बन कर दुख में साथ चला -2
तुम ना बदलीं …

rāhī naye-naye rastā nayā-nayā
tum nā badlīṅ maiṅ nā badlā sab-kuchh badal gayā
rāhī naye-naye …

yād suhānī bachapan kī patthar pe khiṅchī rekhā
pahlā-pahlā pyār diloṅ se miṭte nahīṅ dekhā
tūfān samay ke bujhā na sake dīp jalā to jalā
tum nā badlīṅ …

vaqt ke sāth badal jāe use pyār nahīṅ kahte
jo har moṛ pe muṛ jāe use yār nahīṅ kahte
yār vahī jo sāthī ban kar dukh meṅ sāth chalā -2
tum nā badlīṅ …