Raag banke pyaar chhaae

राग बनके प्यार छाए
Year
Language

आ राग बनके प्यार छाए ज़िंदगी भी गुनगुनाए
मन क्‌यूँ न गीत गाए प नि ध मेरे मन गाए जा
सपनों ने सुर सजाए प नि ध मेरे मन गाए जा
गाएँ जो हम प्यार की सरगम
ताल है हूँ धड़कन धड़कन धड़कन

कभी यूँ भी तो हो बस हम तुम हों
और सुरीली बातें हों
चमकीलें हों दिन रंगीं शामें
और झिलमिल करती रातें हों
झोंका हवा का जो आए
प्यार के रंग नए लाए
दुनिया को भूल के सपनों में झूल के
छू लें हम आसमां आओ ना मेहरबां
हो हमको ये रस्ता बुलाए
राग बनके प्यार …

कभी यूँ भी तो हो बरसे चाहत
और भीगें इस बरसात में हम
हमको न कोई भी होश रहे
डूबें ऐसे जज़्बात में हम
जो देखे हमको वो ये जाने
शायद हम दोनों हैं दीवाने
लोग हैरान हों ऐसे हम तुम हैं क्‌यूँ
दोनों खोए हैं क्‌यूँ दोनो गुमसुम हैं क्‌यूँ
कोई समझ नहीं पाए
राग बनके प्यार …

ā rāg banke pyār chhāe ziṅdgī bhī gungunāe
man k‌yūṇ na gīt gāe pa ni dha mere man gāe jā
sapnoṅ ne sur sajāe pa ni dha mere man gāe jā
gāeṇ jo ham pyār kī sargam
tāl hai hūṇ dhaṛkan dhaṛkan dhaṛkan

kabhī yūṇ bhī to ho bas ham tum hoṅ
aur surīlī bāteṅ hoṅ
chamkīleṅ hoṅ din raṅgīṅ śhāmeṅ
aur jhilmil kartī rāteṅ hoṅ
jhoṅkā havā kā jo āe
pyār ke raṅg nae lāe
duniyā ko bhūl ke sapnoṅ meṅ jhūl ke
chhū leṅ ham āsmāṅ āo nā meharbāṅ
ho hamko ye rastā bulāe
rāg banke pyār …

kabhī yūṇ bhī to ho barse chāhat
aur bhīgeṅ is barsāt meṅ ham
hamko na koī bhī hośh rahe
ḍūbeṅ aise jazbāt meṅ ham
jo dekhe hamko vo ye jāne
śhāyad ham donoṅ haiṅ dīvāne
log hairān hoṅ aise ham tum haiṅ k‌yūṇ
donoṅ khoe haiṅ k‌yūṇ dono gumsum haiṅ k‌yūṇ
koī samajh nahīṅ pāe
rāg banke pyār …