Title (Indic)मुझ से पहली सी मोहब्बत, मेरे महबूब, न माँग् WorkQaidi Year1940 LanguageHindi Credits Role Artist Music Rashid Attre Performer Noor Jehan Writer Faiz Ahmad Faiz LyricsHindiमुझ से पहली सी मोहब्बत, मेरे महबूब, न माँग - 4 मैंने समझा था के तू है तो दरख़्शां है हयात तेरा ग़म है तो ग़म-ए-दहर का झगड़ा क्या है तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रखा क्या है - 2 तू जो मिल जाए तो तक़दीर निगों हो जाए यूँ न था, मैंने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाए मुझ से पहली सी मोहब्बत, मेरे महबूब, न माँग अनगिनत सदियों के तारीक बहिमाना तलिस्म रेश-ओ-अठलस-ओ-कमख़ाब-ओ-बाज़ार में जिस्म ख़ाक में लितड़े हुए ख़ून में नहलाए हुए लौट जाती है इधर को भी नज़र क्या कीजे अब भी दिलकश है तेरा हुस्न, मग़र क्या कीजे - 2 और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा मुझ से पहली सी मोहब्बत, मेरे महबूब, न माँग् Englishmujh se pahlī sī mohabbat, mere mahbūb, na māṇg - 4 maiṅne samjhā thā ke tū hai to darakhśhāṅ hai hayāt terā ġham hai to ġham-e-dahar kā jhagaṛā kyā hai terī sūrat se hai ālam meṅ bahāroṅ ko sabāt terī āṇkhoṅ ke sivā duniyā meṅ rakhā kyā hai - 2 tū jo mil jāe to taqdīr nigoṅ ho jāe yūṇ na thā, maiṅne faqat chāhā thā yūṇ ho jāe mujh se pahlī sī mohabbat, mere mahbūb, na māṇg anginat sadiyoṅ ke tārīk bahimānā talism reśh-o-aṭhalas-o-kamakhāb-o-bāzār meṅ jism khāk meṅ litaṛe hue khūn meṅ nahlāe hue lauṭ jātī hai idhar ko bhī nazar kyā kīje ab bhī dilkaśh hai terā husn, maġhar kyā kīje - 2 aur bhī dukh haiṅ zamāne meṅ mohabbat ke sivā rāhteṅ aur bhī haiṅ vasl kī rāhat ke sivā mujh se pahlī sī mohabbat, mere mahbūb, na māṇg