Pyaar vaale rang men rang de saanvriyaa

प्यार वाले रंग में रंग दे सांवरिया
Year
Language

प्यार वाले रंग में रंग दे सांवरिया
होश मेरे ले ले यूं कर दे बांवरिया
कर दे बांवरिया
प्यार वाले रंग में …

ज़ुल्फ़ों को मेरी बिखर जाने दो तुम
तन्हाईयों को संवर जाने दो तुम
धड़कन को धड़कन से करने दो बातें
आती हैं तकदीर से ऐसी रातें
अबके ज़रा देख प्यासी नज़रिया
प्यार वाले रंग में …

दिल में नई कोई बेचैनियां हैं
साँसों में कैसी ये बेताबियां हैं
ओ अलबेला मौसम करे है इशारे
मचले हैं मेरे ये अरमां कुंवारे
देती है ताने ये बाली उमरिया
प्यार वाले रंग में …

बरसा दो मुझपे मुहब्बत के बादल
वरना बुरा मान जाएगा काजल
बेईमान रुत है उमंगें जवां हैं
फिर किसलिए हाय ये दूरियां हैं
पूछे है तुमसे ये भीगी चुनरिया
प्यार वाले रंग में …

pyār vāle raṅg meṅ raṅg de sāṅvriyā
hośh mere le le yūṅ kar de bāṅvriyā
kar de bāṅvriyā
pyār vāle raṅg meṅ …

zulfoṅ ko merī bikhar jāne do tum
tanhāīyoṅ ko saṅvar jāne do tum
dhaṛkan ko dhaṛkan se karne do bāteṅ
ātī haiṅ takdīr se aisī rāteṅ
abke zarā dekh pyāsī nazriyā
pyār vāle raṅg meṅ …

dil meṅ naī koī bechainiyāṅ haiṅ
sāṇsoṅ meṅ kaisī ye betābiyāṅ haiṅ
o albelā mausam kare hai iśhāre
machle haiṅ mere ye armāṅ kuṅvāre
detī hai tāne ye bālī umriyā
pyār vāle raṅg meṅ …

barsā do mujhpe muhabbat ke bādal
varnā burā mān jāegā kājal
beīmān rut hai umaṅgeṅ javāṅ haiṅ
phir kislie hāy ye dūriyāṅ haiṅ
pūchhe hai tumse ye bhīgī chunriyā
pyār vāle raṅg meṅ …