Pyaar pyaar karte karte tum pe marte marte dil de diyaa

प्यार प्यार करते करते तुम पे मरते मरते दिल दे दिया
Work
Year
Language

प्यार प्यार करते करते तुम पे मरते मरते दिल दे दिया हाँ दिल दे दिया
ऊई बाबा बबबा आई बाबा

आ बना के ख़्वाब तुमको देखती रहूं
चाहतों की आरज़ू में डूबती रहूं
चूम ले मेरे लबों को मुझको थाम ले
देख जान-ए-मन दीवाना हो गया हूँ मैं
रेशमी इन गेसुओं में खो गया हूँ मैं
आहें भरते भरते तुम पे मरते मरते दिल दे दिया हाँ दिल दे दिया
या या मैने सब पा लिया
प्यार प्यार करते करते …

न कोई अरमान है न कोई प्यास है
बस तेरी तस्वीर आँखों मे समाई है
मैने जो मांगी दुआ वो पाई है
मैं तेरी बाहों में आऊं कि वहां जाऊं
सोच में डूबा हूँ जानां मैं कहां जाऊं
यारा डरते डरते तुम पे मरते मरते दिल दे दिया हाँ दिल दे दिया
प्यार प्यार करते करते …

pyār pyār karte karte tum pe marte marte dil de diyā hāṇ dil de diyā
ūī bābā babbā āī bābā

ā banā ke khvāb tumko dekhtī rahūṅ
chāhtoṅ kī ārazū meṅ ḍūbtī rahūṅ
chūm le mere laboṅ ko mujhko thām le
dekh jān-e-man dīvānā ho gayā hūṇ maiṅ
reśhmī in gesuoṅ meṅ kho gayā hūṇ maiṅ
āheṅ bharte bharte tum pe marte marte dil de diyā hāṇ dil de diyā
yā yā maine sab pā liyā
pyār pyār karte karte …

na koī armān hai na koī pyās hai
bas terī tasvīr āṇkhoṅ me samāī hai
maine jo māṅgī duā vo pāī hai
maiṅ terī bāhoṅ meṅ āūṅ ki vahāṅ jāūṅ
soch meṅ ḍūbā hūṇ jānāṅ maiṅ kahāṅ jāūṅ
yārā ḍarte ḍarte tum pe marte marte dil de diyā hāṇ dil de diyā
pyār pyār karte karte …