प्यार मोहब्बत इश्क़ इबादत ... और करें क्या अब के बरस्
प्यार मोहब्बत इश्क़ इबादत
और करें क्या अब के बरस
तुम जो मिले हो सब कुछ मिला है
और क्या चाहें अब के बरस
मैने भी क्या ख्वाब सुनहरा देखा
हर चेहरे में तेरा चेहरा देखा
पतझड़ बहार बसंत या बरसातें
सब मौसम करते हैं तेरी बातें
तेरे नाम कर दी मैने सारी ज़िंदगानी
मेरे हर फ़साने में है तेरी कहानी
मैं भी तो बन बैठी हूँ तेरी दीवानी
आ जी लें मर लें हद से गुज़र लें
और करें क्या अब के बरस
प्यार मोहब्बत …
प्रेम का रंग है ऐसा जो न छूटे
डोर वफ़ा की जीवन भर ना टूटे
बेताबी तन्हाई प्यासी रातें
जान-ए-मन सब हैं तेरी सौगातें
बेकरारियों की हालत कैसे मैं बताऊँ
उँगली पे गिन गिन के दिन अब मैं बिताऊँ
चाहत यही है तुझको दुल्हन बनाऊँ
ओ हमजोली रस्मों की डोली
ले के तू आजा अब के बरस
प्यार मोहब्बत …
कितने सदमें कितने आँसू झेले
हम दोनों तो बरसों रहे अकेले
सोचो जो बीती बातें अँख भर आई
दिल पे लगाए पहरे कैसी ख़ुदाई
हमको जुदाई यारा कितना रुलाई
प्यार मोहब्बत …
प्यार की खातिर कम था जीवन यारा
इसलिए आए दुनिया में दोबारा
आँखों से दिल की सारी बातों को बोलें
आजा गले से लग के हम आज रो लें
फिर ना जुदा हों ऐसे हम एक हो लें
प्यार मोहब्बत …
pyār mohabbat iśhq ibādat
aur kareṅ kyā ab ke baras
tum jo mile ho sab kuchh milā hai
aur kyā chāheṅ ab ke baras
maine bhī kyā khvāb sunahrā dekhā
har chehre meṅ terā chehrā dekhā
patjhaṛ bahār basaṅt yā barsāteṅ
sab mausam karte haiṅ terī bāteṅ
tere nām kar dī maine sārī ziṅdgānī
mere har fasāne meṅ hai terī kahānī
maiṅ bhī to ban baiṭhī hūṇ terī dīvānī
ā jī leṅ mar leṅ had se guzar leṅ
aur kareṅ kyā ab ke baras
pyār mohabbat …
prem kā raṅg hai aisā jo na chhūṭe
ḍor vafā kī jīvan bhar nā ṭūṭe
betābī tanhāī pyāsī rāteṅ
jān-e-man sab haiṅ terī saugāteṅ
bekrāriyoṅ kī hālat kaise maiṅ batāūṇ
uṇglī pe gin gin ke din ab maiṅ bitāūṇ
chāhat yahī hai tujhko dulhan banāūṇ
o hamjolī rasmoṅ kī ḍolī
le ke tū ājā ab ke baras
pyār mohabbat …
kitne sadmeṅ kitne āṇsū jhele
ham donoṅ to barsoṅ rahe akele
socho jo bītī bāteṅ aṇkh bhar āī
dil pe lagāe pahre kaisī khudāī
hamko judāī yārā kitnā rulāī
pyār mohabbat …
pyār kī khātir kam thā jīvan yārā
islie āe duniyā meṅ dobārā
āṇkhoṅ se dil kī sārī bātoṅ ko boleṅ
ājā gale se lag ke ham āj ro leṅ
phir nā judā hoṅ aise ham ek ho leṅ
pyār mohabbat …