Pyaar men tumne dhokhaa seekhaa

प्यार में तुमने धोखा सीखा
Work
Year
Language

मु: प्यार में तुमने धोखा सीखा ये तो बताओ कैसे
श: ओय फूल से इक भँवरे को उड़ा कर मैने कहा कि ऐसे

मु: दिल का जलना सीखा तुमने यह तो बताओ कैसे
श: शमा पे जलता था परवाना मैने कहा कि ऐसे
मु: एजि प्यार में तुमने …

मु: तुम हँसते हो हम रोते हैं ज़ुल्म ये सीखा कैसे
श: हँसे फूल और रोए शबनम मैने कहा कि ऐसे
मु: एजि प्यार में तुमने …

मु: प्यार सिखा कर छुपना सीखा यह तो बताओ कैसे
श: झलक दिखाकर छुप गई बिजली मैने कहा कि ऐसे
मु: एजि प्यार में तुमने …

mu: pyār meṅ tumne dhokhā sīkhā ye to batāo kaise
śha: oy phūl se ik bhṇvre ko uṛā kar maine kahā ki aise

mu: dil kā jalnā sīkhā tumne yah to batāo kaise
śha: śhamā pe jaltā thā parvānā maine kahā ki aise
mu: eji pyār meṅ tumne …

mu: tum hṇste ho ham rote haiṅ zulm ye sīkhā kaise
śha: hṇse phūl aur roe śhabnam maine kahā ki aise
mu: eji pyār meṅ tumne …

mu: pyār sikhā kar chhupnā sīkhā yah to batāo kaise
śha: jhalak dikhākar chhup gaī bijlī maine kahā ki aise
mu: eji pyār meṅ tumne …